Poetry

Kya Bataye Kaise Likhte Hain Hum, Bus Yun Samjho Ke Jo Shabd Dil May Aate Hai Wohi Kehte Hai Hum, Milti Hai Jab Fir Aap Jaise Doston Se Wah Wah, Tab Pata Chalta Hai Arey Ye To Shayari Likhte Hai Hum ~ Ahmed Kazimi

Tuesday, June 26, 2007

Yeh Duniya

Youn jurm-e-mohabbat ki saza deti hai yeh duniya,
Hanstey huey cheron ko rula deti hai yeh duniya,
Marney ki tamanna ho tou, marney nahi deti yeh duniya
Jeetey hain tou jeeney ki saza deti hai yeh duniya

Saturday, June 23, 2007

Jate Hai

Nazar Ko Badlo To Nazare Badal Jate hai,
Soch Ko Badlo To sitare Badal Jate hai,
Kashtiya Badal ne ki jarurat nahi,
Disha Ko Badlo to Kinare Khud-b-Khud badal jate hai

Kuch rishte anjane mein ho jate hai,
Pehle dil phir zindagi se jud jate hai,
Kehte hai uss daur ko dosti,
Jisme dil se dil na jaane kab mil jate hai

Muskurata Hai

Zindagi mein kai mushkilein aati hai,
Aur insaan zinda rehne se ghabrata hai,
Na jaane kaise hazaaron kaanton ke beech,
Reh kar bhi ek phool muskurata hai

Mohabbat aur Mout

Mohabbat aur mout dono he,
Bin bulaye mehmaan hote hai,
Kab aa jaye koi nahi jaanta,
Lekin, dono ka ek he kaam hai,
Ek dil le jati hai to doosri dhadkan