Poetry

Kya Bataye Kaise Likhte Hain Hum, Bus Yun Samjho Ke Jo Shabd Dil May Aate Hai Wohi Kehte Hai Hum, Milti Hai Jab Fir Aap Jaise Doston Se Wah Wah, Tab Pata Chalta Hai Arey Ye To Shayari Likhte Hai Hum ~ Ahmed Kazimi

Tuesday, October 31, 2006

Waah Re Khuda

Jab husn burke mein sadak par chala karta tha,
Ek dewana peeche peeche chala karta tha,
Sochta tha kab hawa chale aur husn ka deedaar ho,
Ek din deewana chal basa kuch din baad husn ko deewane ki yaad aayi,
Jab woh kabar par aayi to andar se aawaz aayi,
Waah re khuda aaj main hoon parde mein aur woh benakab ho kar aaye hai

kuch KHAAS hai

Har nazar ko ek nazar ki talash hai,
Har Dil me chupa ek ehsaas hai,
Aapse dosti yuhi nahi ki hamne,
Kya kare hamari pasand hi kuch KHAAS hai

Jab bhi chand ko dekho...Sitaron ki bhid mein

Jab bhi chand ko dekho,
Yaad karna hamein,
Ye soch kar nahin ki khubsurat hai woh,
Ye soch kar ki tanha hai woh bhi,
Sitaron ki bhid mein

Nahi Hoti

Ek chingari Angaare se kam nahi hoti,
Sadgi bhi Shingaar se kam nahi hoti,
Yeh to apni apni soch ka farak hai,
Varna,
Dosti bhi kisi Pyar se kam nahi hoti

KAHAN TAK HAI

MAT PUCH MERE SABAR KI INTEHA KAHAN TAK HAI
TU SITAM KAR TERI TAQAK JAHAN TAK HAI
WAFA KI UMEED KISKO HAI JANIB
HAME TO DEKHNA HAI KI TU BEWAFA KAHAN TAK HAI

Hum Nazar Aayenge!

Waqt guzrega hum bikhar jayenge,
Kaun jane ke hum kidhar jayenge,
Hum aapki parchayi hain yaad rakhna,
Jahan tanhai mili wahan hum nazar ayenge.

Monday, October 30, 2006

DIL NE KAHA

maine kaha wo ajnabi hai
dil ne kaha ye dil ki lagi hai
maine kaha wo sapna hai
dil ne kaha phir bhi to apna hai
maine kaha wo maikhana hai
dil ne kaha ye pyar kaahana hai
maine kaha wo ghadi bhar ki mulakaat hai
dil ne kaha ye sadiyon ka saath hai
maine kaha vo meri haar hai
dil ne kaha yahi to pyar hai

~ * ~ Talaash Hai ~ * ~

Is Dil Ki Rahoon Main
Apnoon Main Sapnoo Main
Palkoon Ki Chilman Main
Ashqoon K Aansoo Main
Muskuratay Hoontoon Main
Har Haseen Chehroon Main
Har Lamhay Main
Khubsoorat Mousam Main
Phootti Kaliyon Main
Khiltay Phoolon Main
Suraj Ki Kirnoon Main
Dhoop Main Sai Main
Karaktay Badal Main
Barish Ki Boondon Main
Dhalti Shamoon Main
Tanha Raaton Main
Raat Ki Tareeki Main
Chanda Ki Roshni Main
Taaroon Ki Jheel Main
Khushboo Main Saansoon Main
An Kehi Bataon Main
Pyaar Say Mohabbat Main
Dhoonda Jahanoon Main
Paya Tujhay Aankhoon Main

Saturday, October 28, 2006

Shairies from movie "Fanaa"

Bul karke bhi humse koi bhul hui ho to,
Bhul samjkar use bhula dena,
Lekin bhulana sirf Bhul ko,
Galti se bhi Hume na Bhulana

Phool hun Gulaab ka,
Chameli ka mat samjhna,
Aashiq hun aapka,
Apni Saheli ka mat samjhna

Be khudishi jindgi hum jiya nahi karte,
Jam dusro se chin kar hum piya nahi karte,
Unko mohobbat hai to aake Izhar kare,
Piche hum bhi kisi ka kiya nahi karte

Humse dur jao ge kaise,
Dilse hume bhulaoge kaise,
Hum to khushbu hai jo sanso me baste hai,
Khud ki sanso ko rok paonge kaise

Baithe hai hotho ko si kar,
Pachtayengi aap,
Ishq jag uthta hai akshar,
Aisi khamosi ke bad

Rone de tu aaj hamako tu aankhe sujane de
Baho me lele aur khud ko bheeg jane de
Hai jo seene me quaid dariya wo chut jayega
Hai itana dard ki tera daman bheeg jayega

Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde,
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde,
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde,
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde,
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde

Aag suraj main hoti hai,
Jalna dharti ko padta hai,
Mohabbat aankhen karti hain,
Tadapna dil ko padta hai

Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte,
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte

Ankhen to pyar me dil ki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai

Dard se aankhe char kar lenge,
Hum odti me imtiha de denge,
Teri dosti ke khatir Ae DOST,
Hum bhi dushman se pyar kar lenge

Insan ki khwaish ki koi imtiha nahi,
Do guz zamin chahi ye,
Do guz Kafan ke baad

Tumhari Khoobsurti ne Khuda se eik khata kara di,
Kahin khud se nazar na lag jaye,
Is liye tumhe Nazar nadi

Tere Dil Me Meri Sanso Ko PANAH Mil Jaye,
Tere Ishq Me Meri Ja FANAA Ho Jaye

KABHI ALVIDA NAA KEHNA

aapki yadon ke bina ek pal nahi rehna,
aapse dur rehne ka yeh dard nahi sehna,
aapko sirf ek hi lafz me ye batana,
mujhe aapke dil se "KABHI ALVIDA NAA KEHNA"

Dard jitna saha jaye utna hi sehna
Dil ko jo lag jaye woh baat na kehna
Milte hai hamare jese dost bahat kam
iss liye "KABHI ALVIDA NAA KAHNA"

Khoobsurat Hain Wo

khubsoorat hain wo lub
jo pyari batein kertey hain

khubsoorat hai wo muskurahat
jo dosaroon ke chehroon per bhimuskan saja de

khubsoorat hai wo dil
jo kisi ke dard ko samjhey
jo kisi ke dard mein tarpey

khubsoorat hain wo jazbat
jo kisi ka ehsaas karein

khubsoorat hai wo ehsaas
jo kisi ke dard ka me dawa baney

khubsoorat hain wo batein
jo kisi ka dil na dukhaein

khubsoorat hain wo ankhein
jin mein pakezgi hosharm o haya ho

khubsoorat hain wo ansoo
jo kisi ke dard ko mehsoos kerke beh jaein

khubsoorat hain wo hath
jo kisi ko mushkil waqat mein tham lein

khubsoorat hain wo qadam
jo kisi ki madad ke liyea agey berhein

khubsoorat hai wo soch
jo kisi ke liye acha sochey

khubsoorat hai wo insan
jis ko KHUDA ne ye khoobsurati ata ki hai

Friday, October 27, 2006

Nahi Jata

Pyar ki tadap ko dikhaya nahi jata
Dil main lagi aag ko dabaya nahi jata
Lakh judai ho yaar se magar
Zindagi ka pehla pyar bhulaya nahi jata

Ho Na Ho

Lamhe ye sunhere kal sath ho na ho,
Kal me aaj jaisi baat ho na ho,
Yaadon ke hasin lamhe dil me rehenge,
Tamaam umar chahe mulaqat ho na ho

Dil ki dahleez pe koi gum na ho,
Hamari ye dosti kabhi kam na ho,
Aapko jahan ki sari khushiyan mile,
Bhale he us khushi mein hum ho na ho

Tarapna Dil Ko Parta Hain

Taapish suraj ki hoti hain
Jalna zameen ko parta hain
Kasoor aakhon ki hoti hain
Tarapna dil ko parta hain

Chhod Jayenge

Zindagi mein intazar ki lakeer chhod jayenge,
Aankhon mein yadoon ki nami chhod jayenge,
Dhundte firoge 1 din hume,
Hum yadoon ki vo tasveer chhod jayenge

Hote Hain

Kuch Log Khaas Hote Hain,
Har Pal Paas Hote Hain,
Khushiyon Mein Shamil Hote Hain,
Aur Gham Main Bhi Saath Rehate Hain,
Log unhe DOST aur hum unhe AAP Kehate hain.

Aapke Bagair

Aaj kuch kami hai aapke bagair,
Rang hai na roshni aapke bagair,
Waqt apni raftar se chal raha hai,
Bus dhadkane thami hain aapke bagair.

Thursday, October 26, 2006

Mujhe Bhool Ja

Main aik awara hoon mujhe bhool ja
Main aik kinara hoon mujhe bhool ja
Main aik khwab hoon mujhe bhool ja
Main aik kitaab hoon mujhe bhhol ja
Main aik awaz hoon mujhe bhool ja
Main aik raaz hoon mujhe bhool ja
Main aik ghum hoon mujhe bhool ja
Main bohat purnum hoon mujhe bhool ja
Main aik lumha hoon mujhe bhool ja
Main aik pal hoon mujhe bhool ja
Main aik baat hoon mujhe bhool ja
Main aik raat hoon mujhe bhool ja
Main bohat mujbor hoon mujhe bhool ja
Main bohat door hoon mujhe bhool ja

APNA BANA GAYE

Yun nazar ki baat ki aur dil chura gaye,
Andhero ke saaye mein dhadkan suna gaye,
Hum to samjhe the ajnabi aapko,
Aap to hume APNA BANA GAYE

Wednesday, October 25, 2006

Karte Hain

Zubaan Se Keh Nahin Sakte;
Khuda Se Fariyaad Karte Hain;
Jab Tumhara Dil Zor Se Dhadke...
To Samaj Lena Hum Tumhein Yaad Karte Hain...!

Har sham se tera izhaar kiya karte hai,
Har khwab me tera didar kiya karte hai,
Diwane hi to hai hum tere,
Jo har waqt tere milne ka intzaar kiya karte hai

DOSTI KA HAQ HUM ADA KARTE HAI,
AAPKI HANSI PE JAAN FIDA KARTE HAI,
AAPKO PHOOL SE BHI ZAKHAM NA AAYE KABHI,
KHUDA SE YAHI DUA KARTE HAI

Na Thi

Dil me itni bekarari na thi,
zindagi kabhi itni pyari na thi,
zindagi zindagi si lagti hi na thi,
aap jaise doston se jab yari na thi

Tamanna Hai

Kajal banke teri aankho mein samane ki tamanna hai,
Dawa banke tere dard mitane ki tamanna hai,
Yun to haasil hai zamane ki har cheez mujhe,
Sirf ek baar tujhe dulhan ke roop mein paane ki tamanna hai

Ho Jata Hai

kisi na kisi pe kisi ko aitebar ho jata hai,
ajnabee koi shaks yaar ho jata hai,
khubiyo se nahi hoti mohobat sada,
khamiyo se bhi aksar pyaar ho jata hai

Thursday, October 12, 2006

Mohabbat Maqsad Hai Zindagi Ka

Mohabbat Maqsad Hai Zindagi Ka
Mohabbat Muqaddar Hai Her Kisi Ka
Mohabbat Pakeezai Ka Naam Hai
Mohabbat Her Khushi Ka Pegaam Hai
Mohabbat Hai To Rehmat Hai
Mohabbat Hai To Chahat Hai
Mohabbat Pyar Ishq-o-Lagan Hai
Mohabbat Main Her Shakhs Magin Hai
Mohabbat Main Zindagi Kho Jati Hai
Mohabbat Haar Hai Mohabbat Jeet Hai
Mohabbat Hi Dil Ka Sacha Meet Hai
Mohabbat Phoolo Ko Hui Kantoo Se
Mohabbat Palkoo Ko Hui Aankhoo Se
Mohabbat Chand Ko Hui Chandni Se
Mohabbat Rooh Ko Hui Ragni Se
Mohabbat Subha Ki Pehli Kiran Hai
Mohabbat Do Diloon Ka Millan Hai
Mohabbat Hi Meri Manzil Hai
Mohabbat Hi Mera Dil Hai...!!!

Wednesday, October 11, 2006

Life is a Teacher!

Life is a teacher, which teaches how to live.
Life is a teacher, which teaches how to win.
Life is a teacher, which teaches how to laugh.
Life is a teacher, which teaches how to make other people cry.
Life is a teacher, which teaches how to love.
Life is a teacher, which teaches how to hate.
Life is a teacher, which teaches how to win honor.
Life is a teacher, which teaches how to embarrass others.
Indeed, life is a great teacher as it teaches everything.
And in this very greatness lies life's weakness that it teaches everything.
It teaches how to love, but also teaches how to hate.
It teaches how to help, but also teaches how to harm.
It teaches how to honor (others), but also teaches how to embarrass (others).
It teaches how to laugh, but also teaches how to make other people cry.
Wish life were a bit selective in its teaching.
But can't we be a bit selective in taking lessons?
Life is a teacher itself.....

Tuesday, October 10, 2006

Kisi ne kaha muhabbat kya hai?

Samandar ne kaha
Mohabbat samandar ki gairaiyo main chupi hue ik ispet hai
Jis main chahat jaisi anmol moti majood hai
Badal ne kaha
Mohabbat ik danak hai jis me har rang nomaya hai
Shahir ne kaha
Mohabbat ik aisa ghazal hai jo
Har ek sun ne wale ke dil main utar tha jata hai
Maali ne kaha
Mohabbat gullsahan ke phool ke woh dilkash khusboo hai
Jis me sara gullshan mehkta hai
Aankhon ne kaha
Mohabbat aansoo ka samandar hai jo kisi ke
Intezar main khamoshi se baita hai
Naseeb ne kaha
Mohabbat karne wala is duniya ka khush kismat insaan hai
Dil ne kaha
Mohabbat Kisi Ko khamoshi se chah Jane ka naam hai
Nafrat ne kaha
Akhir jeet mohabbat ki hoti hai

A Friend....

Accepts you as you are
Believes in "you"
Calls you just to say "HI"
Doesn't give up on you
Envisions the whole of you (even the unfinished parts)
Forgives your mistakes
Gives unconditionally
Helps youInvites you over
Just because
Keeps you close at heart
Loves you for who you are
Makes a difference in your life
Never Judges
Offers supportPicks you up
Quiets your fears
Raises your spirits
Says nice things about you
Tells you the truth when you need to hear it
Understands youValues you
Walks beside you
Yells when you won't listen and
Zaps you back to reality

A FRIEND IS A TREASURE

A friend is someone we turn to
When our spirits need a lift,
A friend is someone we treasure
For our friendship is a gift,
A friend is someone who fills our lives
With beauty, joy, and grace
And makes the world we live in
A better and happier place.

Yeh Zindagi...

Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si
Kabhi khushi hamaray sath sath
Kabhi gammon ki barsat si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi tofanon main bhi hain rastay
Kabhi manzilon ka pata nahi
Kabhi do kadam pay zindagi
Kabhi saddeuon tak intizar si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi her pal emtihan hai
Kabhi bin mangay enam hai
Kabhi kuch nahi
Kabhi sab kuch si
Yeh zindagi bari ajeeb si
Kabhi gulzar si kabhi bezar si

Monday, October 09, 2006

Fanaa Karenge...

Hum tujhe itna pyar karenge...
Ki khud ko barbaad karenge...
Na lamha, na waqt ka intezaar karenge...
subah se lekar shaam tak pyar karenge...
Har din khudko adhura karenge...
Ki pyar tujhko poora karenge...
Koshish dil ko samjhane ki karenge...
Na mana to dar par aa marenge...
Kisi ne na kiya hoga itna pyar...
Ki teri aarzoo me apni hasti fanaa karenge...

Sunday, October 01, 2006

Aankhen

Dil Ki Batain Bata Deti Hain, Aankhen,
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhen,
Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi,
Dil Ko Tu, Deewana Bana Deti Hain, Aankhen,
Woh Hum Se Baat Nahi Karte, To Na Kare,
Haal Sara Unke Dil Ka , Suna Deti Hain. Aankhen,
Gham Sada Rehta Nahi, Aadmi Ke Saath,
Ashk Bana Kar, Chalka Deti Hain, Aankhen,
Aata Hai Jab Jawaani Ka Daur, To Ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan Mein, Basa Deti Hain, Aankhen,
Mana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke Raste,
Magar Kabhi Kabar, Neend, Ura Deti Hain Aankhen

Little Things

Too often we don't realize
What we have until it is gone;
Too often we wait too late to say
"I'm sorry - I was wrong.
"Sometimes it seems we hurt the ones
we hold dearest to our hearts;
And we allow foolish things
to tear our lives apart.
Far too many times we let
unimportant things into our minds;
And then it's usually too late
to see what made us blind.
So be sure that you let people know
how much they mean to you;
Take that time to say the words
before your time is through.
Be sure that you appreciate
everything you've got
And be thankful for the
Little things in life
that mean a lot.

aansuon aankh ki dehleez pe aaya na karo

aansuon aankh ki dehleez pe aaya na karo....
ghar ke haalaat zamaane ko bataya na karo...
log muthhi meiN namak le ke phira kerte haiN....
zakhm tum apne kisi ko bhi dikhaya na karo...
saaNp KHushbu ke ahaate meiN basa kerte haiN....
phool ke peRoN ko aangan meiN lagaya na karo...
haathh aaye usi lumhe ko GHaneemat jano....
apni palkoN pe koi KHwab sajaaya na karo...
yaas ki tapti hui ret meiN jalne do mujhe....
aas ke badlo sir pe mere aaya na karo...
aaj ke daur ka paiGHam yahi hai taalib~...
koi gir jaaye to bhoole se uthhaya na karo...

Ruk Jaana Nahi

Musibaton Se Mooh Modna,
Sikha Nahi Hain Humne,
Bich Raah Thak Ke Safar Chodna,
Fidrat Main Nahi Apne.
Hum Toh Dard Ko Hi Dawa Banate Jaayenge,
Koi Dard, Koi Taklif Raah Main Mili,
Toh Apne Majboot Irado Se Use Tod Jaayenge.