Poetry

Kya Bataye Kaise Likhte Hain Hum, Bus Yun Samjho Ke Jo Shabd Dil May Aate Hai Wohi Kehte Hai Hum, Milti Hai Jab Fir Aap Jaise Doston Se Wah Wah, Tab Pata Chalta Hai Arey Ye To Shayari Likhte Hai Hum ~ Ahmed Kazimi

Tuesday, November 14, 2006

Kya Jaane

Jisne na ki mohabbat woh jazbaton ko kya jaane,
Jo na ho jazbaat to shayari ka sabab kya jaane,
Shayari aksar haal-e-dil bayan karti hai,
Do char tukde jod ke tukbandi karne wala kya jaane

Bahut Hai

Chote Se Dil Ke Afsane Bahut Hai,
Zindagi Se Zyada Zakham Bahut Hai,
Maar Dalti Kab Ki Yeh Duniya,
Kambakat Aapki Dua Mein Asar Bahut Hai

Sunday, November 12, 2006

Dekh Kar

Sitare bikhar jaaye aapki muskurahat dekh kar,
Jaise shabnam pighal jaaye aftab dekh kar,
Ab aapki kya tarif karun,
Khuda bhi khubsurti ko samja aapko dekh kar

Log laut jate hain gham hamara dekh kar,
Jaise lehar laut jati hai kinara dekh kar,
Kandha mat dena meri arthi ko tum,
Kahin phir se zinda na hojaoo tera sahara dekh kar

Kehte Hai

Dosti nazaro se ho to ouse kudrat kehte hai,
Sitaron se ho to ouse jannat kehte hai,
Husn se to ouse mohabbat kehte hai,
Aur aap se ho to ouse Kismat kehte hai

Uska Mujhe Intzaar Hai

Jo Mujhko...
Dil ki gahraiyon se chahe,
Usaka mujhe intzar hai.
Mere sapno ko sarahe,
Usaka mujhe intzar hai.
Meri Chahat ko samjhe,
Usaka mujhe intzar hai.
Meri Shararton mein Uljhe,
Usaka mujhe intzar hai.
Mere sapano ki galiyaon main Ghoome,
Usaka mujhe intzar hai.
Apane khwabon main mujhe dhoondhe,
Usaka mujhe intzar hai.
Main jisaki manjil hoon,
Usaka mujhe intzar hai.
Jo mera sahil hai,
Usaka mujhe intzar hai.
Jise wafa ki pahchan ho,
Usaka mujhe intzar hai.
Thoda samajhdar,
thoda nadan ho,
Usaka mujhe intzar hai.

Nahi Hai

Ab kisi se koi gila nahi hai,
Jis ko Chaha tha woh mila nahi hai,
Yeh to sab khel hai Naseebo ka,
Apni Kismat main woh likha nahi hai,
Woh jo ek shaks hum ko Pyaara tha,
Aisa bichrra ke phir mila nahi hai,
Jaa chuka hai woh door yun hum se,
Ab milne ka koi aasra nahi hai

Nahi Hota

Har haan ka matlab iqraar nahi hota,
Har jagah pe baithna intezaar nahi hota,
Yun to milti hai nazar hazaron se,
Har nazar ka milna pyaar nahi hota

Saturday, November 11, 2006

kyun hai?

Aye dil tu mohabbat karta kyun hai?
Jo karta hai to phir tarapta kyun hai?
Main dhadkan hun uske dil ki,
Kehta tha mujhse,
Phir aaj uska dil mere bina dharakta kyun hai?

Thursday, November 09, 2006

Sikha Deta Hai

Ishq Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai,
Wafa Ke Naam Par Marna Sikha Deta Hai,
Ishq Nahi Kiya To Kar Ke Dekho,
Jaalim Har Dard Sehna Sikha Deta Hai

YE AANSOO BHI

YE AANSOO BHI EK PARESHANI HAI,
KHUSHI AUR GHAM DONO KI NISHANI HAI,
SAMAJHNEWALE KE LIYE ANMOL,
AUR NASAMJHO KE LIYE PANI HAI

Wednesday, November 08, 2006

Chamak

Ae chand tu chahe chamak na chamak,
Hamein koi bhi gam nahin,
Kyonki ye sher padhne wala bhi ek chand hai,
jiski chamak tujhse kam nahin

Zaruri Nahi

Zinadgi sabko mile zaruri nahi,
Mohabbat sab ko mile zaruri nahi,
Kuch log bahut yaad aate hai zindagi mein,
Par woh bhi hume yaad kare zaruri nahi

Tuesday, November 07, 2006

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Yaadon ke khuwaab dikhati hain
Mujhe saari raat jagati hain
Kab Dil ke raaz chhupati hain
Palkon ke dareeche kholti hain
Kuch apni zaban main bolti hain
Bas apni baat manwati hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Ek aan main faisla karti hain
Yeh kab ruswayi se darrti hain
Yeh ghungroo baandh nachati hain
Her waqt yeh jaagti rehti hain
Ek khoj main bhaagti rehti hain
Thak haar ke wapis aati hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Chupke se kahin larr jaati hain
Phir khuwabon se bhar jaati hain
Jab toote shor machati hain
Yeh royen to Dil bhi rota hai
Kab in se judda yeh hota hai
Yeh Dil ko rog lagati hain
Kyun pyaar kiya pachtati hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN

Courage

Courage
It is difficult to possess.
Very few people have it.
Courage
It is standing up for yourself.
It is standing up to conventional means.
Courage
It is allowing yourself to be yourself.
It is doing what is right.
Courage
It is being strong emotionally.
It is being optimistic.
Courage
Is what you possess.
That's why you are my star!

Ja Sakta

Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki,
Us ke bina jiya nahi ja sakta

Tere Hote Hue

Tere hote hue bhi tanhai mili hai,
Wafa karke bhi dhekha burrai mili hai,
Jitna dua ki hai tumhe paane ki,
Usse zyada teri judai mili hai

Kisi Ke Pyar Me

Kisi ke pyar me gehri chot khayi hai,
Wafa se pehle hi bewafai payi hai,
Log dua mangte hai is haal me marne ki,
Par humne usiki yaadon me,
Jeene ki kasam khayi hai

Aye Dost Teri

Aye dost teri dosti he humko bhati hai,
Tere peeche teri bematlab se kami humko satati hai,
Uin to hain sabhi hasane aur rulane ke liye,
Lakin teri dosti he Khushi ka ansu ankhon main lati hai

Ki Tarha

Dil mein yaadon ki tarha,
Aakhon mein aasu ki tarha,
Jaanu, tum mere paas ho,
Phoolon mein khusbhu ki tarha

Sawar Leta

Chahat se jo sab kuch milata,
To main bhi zindagi chahat main gujar leta,
Uski zindagi main khushiya hi khushiya bhar ke,
Apni zindagi bhi Sawar leta

Ek Dosti Ke Liye

Sau bewafai kabul hai ek wafa ke liye,
Sau ansu kabul hai ek hansi ke liye,
Hum to mohtaj hai aapki ek muskurahat ke,
Sau dushmani kabul hai aapki ek dosti ke liye

Sunday, November 05, 2006

Aapki Dosti

Aapki Dosti hamein is kadar pyaari hai,
Jis tarah bin paani ke machli bechari hai,
Ab na aur kuch khawish hai,
Bus tum DOST bane raho ye he tum se guzarish hai

Wednesday, November 01, 2006

Meri Dosti

Meri dosti ka Hisab jo lagogae,
To meri dosti ko Behisab paogae,
Pani k bulbule c Hai meri dosti,
Zara c thes lagi,
To dhoondte reh jaogae

MOHTAJ NAHI HOTI

ZINDAGI KISI KI MOHTAJ NAHI HOTI,
DOSTI SIRF JAZBAAT NAHI HOTI,
KUCH TO KHAYAL AAYA HOGA KHUDA KO,
VARNA,
YUNHI APAKI HUM SE MULAKAT NA HOTI