Poetry

Kya Bataye Kaise Likhte Hain Hum, Bus Yun Samjho Ke Jo Shabd Dil May Aate Hai Wohi Kehte Hai Hum, Milti Hai Jab Fir Aap Jaise Doston Se Wah Wah, Tab Pata Chalta Hai Arey Ye To Shayari Likhte Hai Hum ~ Ahmed Kazimi

Friday, September 29, 2006

~ Dil Ki Baat ~

1) Har Raah K Moor Par Ab Bhi Zaroorat Teri Lagti Si Hai
Dil Ki Dharkanoon Ko Kami Teri Si Lagti Hai
Saansoon Main Aaj Bhi Khushboo Teri Hi Basti Hai
Ab Yeh ZIndagi Mujhay Meri Nahin Teri Si Lagti Hai
****************************************
2) Dil Ko Dil Say Churaya Tu Nay
Door Hotay Huey Apna Banaya Tu Nay
Kabhi Bhool Nahin Payein Gain Tujh Ko
Aye Dost Dosti Karna Hi Sikhaya Tu Nay
****************************************
3) Phool Sukh Jatay Hain Ek Waqt K Baad
Loog Badal Jatay Hain Ek Waqt K Baad
Apni Saath Bhi Tootay Ga Ek Waqt K Baad
Laikin Woh Waqt Aye Ga Meri Mout K Baad
****************************************
4) Yohn Tu Yaadain Purani Nahin Hoti
Har Kisi Ko Paana Sab Ki Kismat Nahin Hoti
Hum Dil Rakh Aye Un K Dar Par
Yeh Jantay Huey Bhi K Un Ki Nazrain Zameen Par Nahin Hoti
****************************************
5) Saathi Sirf Woh Jo Jeewan Bhar Sath Nibhaye
Saath Toh Woh Hota Hai Jo Jeevan K Kuch Palon Main Bhi
Jeevan Bhar Ka Sath De Jai
****************************************
6) Din Terey Khayal Main Guzar Jata Hai
Raat Main Bhi Khayal Tera Hi Atta Hai
Kabhi Kabhi Yeh Khayal Is Qadar Barh Jata Hai
K Aainay Main Bhi Tera Chehra Nazar Atta Hai
****************************************
7) Jaanay Kion Loog Humain Bhool Jatay Hain
Kuch Pal Saath Rehnay K Baad Door Chalay Jatay Hain
Sach Hi Kehtay Hain Loogon K
Sagar K Milnay K Baad Loog Barish Ko Bhool Jatay Hain
****************************************
8) Doston K Bina Zindagi Fazool Hai
Par Dosti K Bhi Apnay Asool Hain
Kehtay Hain K Milti Hai Dosti Main Bhi Takleefain
Par Aap Ho Dost Tu Sab Takleefain Qabool Hain

Tuesday, September 26, 2006

Dil se tumhe kaise mita de

Dil se tumhe kaise mita de,
Hum tumhe kaise bhoola de.
Ji to chahata hai duniya chor de,
Ya phir judai dene wale in duniya walo ko phod de.

Dil Me Hum Bas Jayenge

Dil Me Hum Bas Jayenge,
Tamanna Ho Agar Milne Ki
To Band AAnkhon Me Nazar Aayenge,
Lamha Lamha Waqt Guzer Jayenga,
Chund Lamho Me Daman Choot Jayenga,
AAj Waqt Hai Do Batein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kaun Aapke Zindagi Me AA Jayenga,
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil Ka Dard Kise Dikhaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
Waqt To Hume Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunki Darte Hai,
Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi Me Humesha Naye Log Milenge,
Kahin Zyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahin Har Jagah Tumhe Hum Milenge,
Khushbu Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukun Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
Mehsus Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Huve Bhi Paas Nazer Aayenge,
Chand Chamkega Na Taron Ka Basera Honga,
Tum Na Honge To Humare Ghar Me Andhera Honga

Monday, September 25, 2006

Adat si ho gayi hai

Dil ko adat si ho gayi hai chot khane ki,
bhigi palko ke sang muskurane ki,
kash anjaam hum pehle se jaan jate,
to koshish bhi nahi karte dil lagane ki

Sunday, September 24, 2006

Sawaal Kiska Hai?

Sawaal paani ka nahi, Pyaas ka hai,
Sawaal maut ka nahi, Saans ka hai,
Dost to duniya mein bahut hain magar,
Sawaal dosti ka nahi Vishwas ka hai

Kyun ki meri dosti mein kabhi zamanat nahi hoti

Yon to zindagi kisi ki amanat nahi hoti
Aur amanat main kabhi qiyanat nahi hoti
Bachke rehna meri dosti se tum subhi
Kyun ki meri dosti mein kabhi zamanat nahi hoti

Saturday, September 23, 2006

Shaan Se...

Ek dua maangte hain hum Allah se,
Chahte hain aapki khushiyan pure imaan se;
Din wo bhi aaye, sab hasratein puri ho aapki,
Aur muskurayein aap puri shaan se...

Zindagi

Zindagi ko ek rangeen kalpana samjho,
Subah ko sach raat ko sapna samjho,
Bhulana chahte ho sabhi gamon ko to,
Zindagi me kisi ek ko apana samjho..

Doston ka to aana jana hai

Doston ka to aana jana hai,
Par yeh dost tera purana hai,
Is Dost ko bhula na dena kabhi mere yaar,
Kyun ki yeh dost teri dosti ka deewana hai

Friday, September 22, 2006

Bohat Pachtao Gay

Humain kho kar bohat pachtao gay
Jab hum nahi hongay
Bharee dunya ko veeran pao gay
Jab hum nahi hongay
Humain apna nahi jaan-e-tamanna
Gham tumhara hai
K tum kis par sitam farmao gay
Jab hum nahi hongay
Bohat aasan hai wafa kee manzilay lakin
Akalay tum kahan tak jaao gay
Jab hum nahe hongay

Tum To Ho Be-Khabar Is Baat Sey

Chupkey Chupkey Chaha Hai Humney Tum Ko
Yehi Baat Bataye Kaisay Tum Ko?

Hazaar Bar Chaha Key Bhool Jaaye,
Magar Yeh Dil Na Bhoolna Chahey Tum Ko

Tum To Ho Be-Khabar Is Baat Sey,
Kaash, Yeh Baat Hum Bata Patay Tum Ko

Jis-Taraf Nazar Jaye Tum He Tum Ho
Par Hum He Nahi Nazar Atay Tum Ko
Ab To Sirf Yeh He "Khuwahish" Hai Dil Main
Ke "Umar" Bhar Key Liye Hum Paa Lain Tum Ko

Poetry

Yeh duniya waale bhi bade ajeeb hai
kabhi hamse door to kabhi kareeb hai
dard na bataye to hume kaayar kehte hai
aur dard bata de to shayar kehte hai

Har taraf khamoshi ka saaya hai
zindagi mein pyar kisne paaya hai,
hum to aapki yaadon mein jhoomte hai
aur zamana kehta hai dekho aaj phir peekar aaya hai.

Jab jab aapse milne ki umeed nazar aayi
mere pairon mein zanjeer nazar aayi
gir pade aansu aankhon se
aur har aansu mein aapki tasweer nazar aayi

Woh yaad aayi bhulate bhulate
dil ke zaqm ubhar aaye chupate chupate
sikaya tha jisne muskurana
usine rulaya hame haste haste

Kabhi khamoshi bhi bohot kuch keh jaati hai
tadapne ke liye sirf yaadein reh jaati hai
kya farq padta hai dil ho ya koyla
jalne ke baad to sirf raakh reh jaati hai

Tum bohot khoobsurat ho
tumse bhi khoobsurat hai andaaz tumhara
log kehte hai chand ka tukda ho tum
hum kehta hai chand tukda hai tumhara.

Ab to itni bhi maysar nahi maikhaane mein
jitni hum chhod diya karte the paimaane mein
maana ke tu aaj hamare saath nahi
lekin shama-e-mohabbat aaj bhi jal rahi hai iss dil mein

Agar hum kahen aur woh Muskuraa dein

Agar hum kahen aur woh Muskuraa dein
Hum un key liyeh, zindagani lutaa dein

Har ik morh par hum Ghamon ko saza dein
Chalo zindagi ko muhabat bana dein

Agar Khud ko bhuule to kuch bhi na bhuule
Key Chaahat mein unki Khudaa ko bhulaa dein

Kabhii Gham ki aandhi jinhen choh na paaye
Wafaa ke hum woh nasheman banaa dein

Qayaamat ke diwaney Kehtey hain humsey
Chalo unkey chehrey se pardaa hataa dein

Sazaa de silaa de, banaa de mitaa dey
Magar woh koii faisalaa to sunaa dein

Oh My Love

oh my love, u have passion up my life,
you have taught me the meanings of life,

without u my soul feels incomplete, as lover,
without love as flower,
without fragrance as night,
without moon as day,
without light come on my love,

come on my love and make me feel your self
just come on babe u have burnt a flame of love
in my heart i am still burning in that,

if some one can quench my thrust in the desert of sorrows
it's only you whenever i feel about you there comes tears

in my eyes and heart sighs u wouldn't live without me,
come on my love, just come on in my life for once........

Thursday, September 21, 2006

Seenay main dil hay.. .. ..

Seenay mein Dil hai
Dil mein Dard hai
Dard mein Nasha hai
Nashay mein Mithas hai
Mithas mein Maza hai
Mazay mein Arzoo hai
Arzoo mein Musarrat hai
Musarrat mein umeed hai
umeed mein Yaqeen hai
Yaqeen mein Khayal hai
Khayal mein Tasawur hai
Tasawur mein Tu hai
Tujh mein Ada hai
Ada mein Haya hai
Haya mein Nazakat hai
Nazakat mein Shokhi hai
Shokhi mein Tohfa hai
Tohfay mein Banawat hai
Banawat mein Apnayat hai
Apnayat mein Chahat hai
Chahat mein Khuloos hai
Khuloos mein Pyar hai
Pyar mein ibadat hai
Ibadat mein KHUDA hai...!!!

:: My Eternal Love ::

As Water is to a flower, and honey is to a bee,
You are always there, You are a part of me.

As the wind blows, Through the distant land,
My love for you grows, Never wanting to end.

As the stars are to the night, And the grass is to the ground,
You must definitely know, My love is all around.

And when there is no wind, No land, night or sun,
I will love you forever and always, Even when my life here is done.

And when my days are over, My life here on earth is through,
I hope you will forever know, I will still be in love with you.

Kuch Log Badal Gaye Hain

Is Raat Ki...Tanhayeeon K
Sab Rang Badal Gaye Hain
Chand Nikla Hai Waisay He
Andharay Badal Gaye Hain

Jin K Bharosay Theen Khushian
Woh Badal Thahar Gaye Hain
Manzilain To Ab Bhi Woh He Hain
Kuch Rastay Badal Gaye Hain

Jin Pe Kiya Tha Bharosa Hum Nay
Woh Dost Bichar Gaye Hain
Dekhay Thay Jo Hum Nay
Woh Khuwab Badal Gay Hain

Jo Banay Thay Kabhi Humsafar
Aaj Woh He Mukar Gaye Hain
Iss Tutay Huay Dil K Saray
Jazbaat Badal Gaye Hain

Na Badla Kabhi Zamana
Na Badley Zamane Ke Khayal
Bas Rona Hai Yehi
Kuch Log Badal Gayee Hain

I Wish To Give You...

I wish to give you comfort
And show you that I really care
To understand what you are feeling
And when you hurt for you be there

I wish you didn't hurt hurt so much
Be there for you before you call
You wouldn't get a broken heart
And pick you up before you fall

I wish to take away your pain
Make it melt and disappear
Hold you in my arms gently and then
Erase away your every fear

I wish to see more of your smile
Grow up to be what you desire
Do as you like with your own style
Be on your own, light your own fire

Kalpana

Tumhe main chaand bhi nahi keh sakta
Kyonki suna hai chaand me to daag hota hai
Tumhe main suraj bhi nahi keh sakta
Kyonki suraj me to bahut taap hota hai
Tumhe main barkha ka baadal bhi nahi keh sakta
Kyonki baadal to bahut kala hota hai
Tumhe main samuder bhi nahi keh sakta
Kyonki samuder to bahut khara hota hai
Tumhe main kis nam se pukaarun kis se tola karun
Shayad tum is gareeb ki koi kalpana ho
Mere shabdon me dhali koi geet ho
Iss dil se nikle jazbaat ho or kuch nahi
Bas kuch nahi or kuch nahi

Waqt

Jaante Ho Kabhi Insan Ke Sath Aisa Bhi Hota Hai
Jaise Khare Paani Main Koyi Pathar Phainkta Hai
To Us Main Lehron Ka Ek Darya Banta Hai
Aur Jaise Jaise Waqt Guzarta Hai Wo Darya
Bara Hota Jata Hai Aur Aakhir Ek Waqt Aata Hai
Ke Wo Sahil Par Khatam Ho Jata Hai
Jaante Ho Wo Khara Paani Kiya Hai
Wo Dunya Hai Aur Insan Wo Pathar Hai Jo
Is Dunya Main Doob Jaata Hai Aur Jante Ho
Wo Lehrein Kiya Hain Wo Lehrein
Waqt Hai Jo Kisi Ke Liye Nahin Rukta
Wo Chalta Rehta Hai Aur Baar Baar Insan
Ko Awaz Deta Hai Lekin Insan Waqt
Se Gafil Ho Kar Us Par Gor Nahin Karta
Magar Waqt Awaz Deta Hi Rehta Hai Aur Ek Waqt
Aata Hai Ke Waqt Ke Paas Waqt Ke Liye
Waqt Khatam Ho Jaata Hai Tub Insan Ko Pata
Chalta Hai Ke Waqt To Usay Peeche Chor Gaya
Magar Meri Nazar Main Kamyab Insan Wo Hai
Jo Waqt Se Bhi 2 Pal Aage Chale

Mahsoos

Akela sa mehsoos karo jab tanhai me,
Yaad meri aaye jab Judaai me,
Mehsoos karna Tumhare hi paas hu main,
Jab chahe dekh lena apni parchai me..

Chand lahmhein Mere Sath Bita K

Chand lahmhein Mere Sath Bita K
Meri Ankhon ko Ek Sapna Dekha K

Rangeen Wadion Mein Ab Kho Gey Ho
Mere Dil Mein Tum Aas Laga k

Tumhein Dohndta Hon Har Pal
Sarey Jhaan Ko Mein Bhola K

Ji Na Pao Gey Tum Bhi Kabhi
Meri Yadoon Ko Dil Se Mita K

Khushiya Mana Rhey Ho Ab Tum
Mere Sapnoon Ka Ashyana Jala K

kuch pyar bhari SHAYRI

palko ki nami me chupa kar sapno ko..
humne unhe jaane ki izazat de di..
hum toot kar bikhar gaye tukdo me..
unhe muskarane ki izazat de di....

hotho ki zuban ye aansu kehte hai,
jo chup rehte hai lekin fir bhi behte hai,
or in aansu ki kismat to dekhiye,
ye unke liye behte hai jo in ankhon me rehte hai..!!

maine jo socha wo kabhi paya nahi,
chahkar bhi main usko bhul paya nahi,
chahta to tha main usko apnana,
per maine usko kabhi ye bataya nahi...

kisi ko palkon par na bithaao,
wahaan to sirf sapne baste hain,
bithaao to dil mein bithaao kyonki yahaan sirf apne
baste hain...

apni yaadon me hum tumhe basana chahte hai,
apne paas tumhe hum bulana chahte hai,
thak gaye hum tumhe yaad karte karte,
ab hum tumhe yaad aana chahte Hai

kabhi-kabhi aesa bhi hota hai,
pyar ka asar jara der se hota hai,
aapko lagta hai hum kuch nahi sochte aapke baare me,
par hamari har baat me aapka hi jikr hota hai.

shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai
har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai
manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya
rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain

yeh milna aur bicharr jaana
kab apne bas ki baat hai
kismat hi milati hai hum ko
kismat hi juddai deti hai
har baar yeh hi hota hai
koi hume bataye to sahi
jo tum se nahi keh paate hai
dharkan se sunayi deti hai.

na raasta sujhayi deta hai
na manzil dikhayi deti hai
na lafz zubaan per aate hai
na dharkan sunayi deti hai
ek ajeeb si kaifiyat neaan ghera hai mujhe
Ke har surat main
teri surat dikhayi deti hai

jab yaad aati hai tumhari muskura lete hai,
kuch palo ke liye har gam bhula dete hai,
kaise bhig sakti hai aapki palken,
aapke hisse ke aansu to hum baha lete hain.

muskan tere hotho pe ho to khushi mere dil me hoti hai,
agar dard tere dil ko ho to akhein meri roti hai,
aap mehsus karke dekho pyar aisa hi hota hai..

vaade bhi usne kya khoob nibhaye hai,
zakhm muft aur dard tohfe me bhijwaye hai.
is se badhkar wafadari ki misaal kya hogi
maut se pehle vo kafan le aaye hai.

dete ho kyu ye dard bas humi ko
kya samjoge tum in ankho k nami ko
yu to honge lakhon diwane is chand ke
chand kya mehsus karega ek tare k kami ko

har ek se baat karna FITRAT hai apki
har ek khush rahe HASRAT hai apki
koi apko YAAD kare ya na kare
hume chod kar sabko yaad karna aadat hai apki

Jab koi khamosh rah kar sawal kar leta hai

Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon me mulakat kar leta hai,
Bada mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rah kar sawal kar leta hai

Tumhe hi select kiya

Tumhari lovely aankho ne,
Hame aise attract kiya,
Ke sabko neglect karke,
Tumhe hi select kiya.

Request karta hun,
Refuse mat karna,
Dil ka bulb jalakar,
Fuse na udana.

Mein tere khawb dekhu,
Bhale hi tu mujhe bhool jaye,
Dekhte hi dekhte magar,
Aankho me paani bhaar aaye.

Karega Kaun

Har karz dosti ka ada karega kaun,
Jab hum hi nahi rahenge to dosti karega kaun.
Aye khuda mere dosto ko salamat rakhna,
Verna mere jeene ki dua karega kaun.

Wednesday, September 20, 2006

Saktay Ho

Tum Chaho To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktay Ho
Tum Chaho To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktay Ho
Tum Chaho To Mujhay Sahra Say Nikal Saktay Ho
Tum Chaho To Mujhay Saiban Day Saktay Ho
Tum Chaho To Mujhay Tapte Dhoop Say Bacha Saktay Ho
Tum Chaho To Mujhay Apnay Wajood Main Chup Saktay Ho
Tum Chaho To Andairee Raat Ki Chadar Parh Kar
Tum Chaho To Ik Diya Roshni Ka Jala Sakltay Ho
Tumhay Malom Hai Kay Yah Zinadagi Kuch Dino Ki Hai
Tum Chaho To Isay Hans Kar Guzar Saktay Ho
Tum Chaho To Mujhay Apne Zindagi Bana Saktay Ho
Tum Chaho To Mujhay Apnay Seenay Main Chupa Saktay Ho
Tum Chaho To Mujhay Apnay Dil Ki Har Baat Bata Saktay Ho
Tum Chaho To Kia Nahi Kar Saktay
Tum Chaho To Sub Kuch Kar Saktay Ho ...!!!

When I'm with you...

When I'm with you,
eternity is a step away,
my love continues to grow,
with each passing day.

This treasure of love,
I cherish within my soul,
how much I love you...
you'll never really know.

You bring a joy to my heart,
I've never felt before,
with each touch of your hand,
I love you more and more.
Whenever we say goodbye,
whenever we part,
know I hold you dearly,
deep inside my heart.

So these seven words,
I pray you hold true,
"Forever And Always,
I Will Love You"

Main to.....

Main to Mohabbat hoon,
Main baarish ki barasti boond nahi,
jo baras ke tham jaati hai,
Main khwab nahi jise dekha aur bhula diya,
Main shama nahi jise phoonka aur bhuja diya,
Main vo geet hoon jo tere labon se juda na hoga,
Main to woh parwana hoon jo jalta rahega Magar FANAA na hoga...

Aaina Hoon Main

Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho
Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho
Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai
Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho
Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushquil Hai Meri Raaha Se Jaaker Dekho
Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheroon Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho
Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho
Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera
Laut Aaounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho

Koi Nahi Hai

Kaisay samjhaye iss dil ko wo hamare naseeb mein nahi hai,
Fir bhi pooja ham karte hai unki jo hamare mandir mein nahi hai,
Kya gila kare unse jinke karan ham pathar ban gaye,
Fir bhi chalte hai unn rasston par jinki manjil koi nahi hai