Poetry

Kya Bataye Kaise Likhte Hain Hum, Bus Yun Samjho Ke Jo Shabd Dil May Aate Hai Wohi Kehte Hai Hum, Milti Hai Jab Fir Aap Jaise Doston Se Wah Wah, Tab Pata Chalta Hai Arey Ye To Shayari Likhte Hai Hum ~ Ahmed Kazimi

Friday, September 29, 2006

~ Dil Ki Baat ~

1) Har Raah K Moor Par Ab Bhi Zaroorat Teri Lagti Si Hai
Dil Ki Dharkanoon Ko Kami Teri Si Lagti Hai
Saansoon Main Aaj Bhi Khushboo Teri Hi Basti Hai
Ab Yeh ZIndagi Mujhay Meri Nahin Teri Si Lagti Hai
****************************************
2) Dil Ko Dil Say Churaya Tu Nay
Door Hotay Huey Apna Banaya Tu Nay
Kabhi Bhool Nahin Payein Gain Tujh Ko
Aye Dost Dosti Karna Hi Sikhaya Tu Nay
****************************************
3) Phool Sukh Jatay Hain Ek Waqt K Baad
Loog Badal Jatay Hain Ek Waqt K Baad
Apni Saath Bhi Tootay Ga Ek Waqt K Baad
Laikin Woh Waqt Aye Ga Meri Mout K Baad
****************************************
4) Yohn Tu Yaadain Purani Nahin Hoti
Har Kisi Ko Paana Sab Ki Kismat Nahin Hoti
Hum Dil Rakh Aye Un K Dar Par
Yeh Jantay Huey Bhi K Un Ki Nazrain Zameen Par Nahin Hoti
****************************************
5) Saathi Sirf Woh Jo Jeewan Bhar Sath Nibhaye
Saath Toh Woh Hota Hai Jo Jeevan K Kuch Palon Main Bhi
Jeevan Bhar Ka Sath De Jai
****************************************
6) Din Terey Khayal Main Guzar Jata Hai
Raat Main Bhi Khayal Tera Hi Atta Hai
Kabhi Kabhi Yeh Khayal Is Qadar Barh Jata Hai
K Aainay Main Bhi Tera Chehra Nazar Atta Hai
****************************************
7) Jaanay Kion Loog Humain Bhool Jatay Hain
Kuch Pal Saath Rehnay K Baad Door Chalay Jatay Hain
Sach Hi Kehtay Hain Loogon K
Sagar K Milnay K Baad Loog Barish Ko Bhool Jatay Hain
****************************************
8) Doston K Bina Zindagi Fazool Hai
Par Dosti K Bhi Apnay Asool Hain
Kehtay Hain K Milti Hai Dosti Main Bhi Takleefain
Par Aap Ho Dost Tu Sab Takleefain Qabool Hain

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home