Bohat Pachtao Gay
Humain kho kar bohat pachtao gay
Jab hum nahi hongay
Bharee dunya ko veeran pao gay
Jab hum nahi hongay
Humain apna nahi jaan-e-tamanna
Gham tumhara hai
K tum kis par sitam farmao gay
Jab hum nahi hongay
Bohat aasan hai wafa kee manzilay lakin
Akalay tum kahan tak jaao gay
Jab hum nahe hongay
0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home