Poetry

Kya Bataye Kaise Likhte Hain Hum, Bus Yun Samjho Ke Jo Shabd Dil May Aate Hai Wohi Kehte Hai Hum, Milti Hai Jab Fir Aap Jaise Doston Se Wah Wah, Tab Pata Chalta Hai Arey Ye To Shayari Likhte Hai Hum ~ Ahmed Kazimi

Tuesday, September 26, 2006

Dil Me Hum Bas Jayenge

Dil Me Hum Bas Jayenge,
Tamanna Ho Agar Milne Ki
To Band AAnkhon Me Nazar Aayenge,
Lamha Lamha Waqt Guzer Jayenga,
Chund Lamho Me Daman Choot Jayenga,
AAj Waqt Hai Do Batein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kaun Aapke Zindagi Me AA Jayenga,
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hai,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil Ka Dard Kise Dikhaye,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
Waqt To Hume Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunki Darte Hai,
Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi Me Humesha Naye Log Milenge,
Kahin Zyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahin Har Jagah Tumhe Hum Milenge,
Khushbu Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukun Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
Mehsus Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Huve Bhi Paas Nazer Aayenge,
Chand Chamkega Na Taron Ka Basera Honga,
Tum Na Honge To Humare Ghar Me Andhera Honga

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home