Poetry

Kya Bataye Kaise Likhte Hain Hum, Bus Yun Samjho Ke Jo Shabd Dil May Aate Hai Wohi Kehte Hai Hum, Milti Hai Jab Fir Aap Jaise Doston Se Wah Wah, Tab Pata Chalta Hai Arey Ye To Shayari Likhte Hai Hum ~ Ahmed Kazimi

Thursday, September 21, 2006

kuch pyar bhari SHAYRI

palko ki nami me chupa kar sapno ko..
humne unhe jaane ki izazat de di..
hum toot kar bikhar gaye tukdo me..
unhe muskarane ki izazat de di....

hotho ki zuban ye aansu kehte hai,
jo chup rehte hai lekin fir bhi behte hai,
or in aansu ki kismat to dekhiye,
ye unke liye behte hai jo in ankhon me rehte hai..!!

maine jo socha wo kabhi paya nahi,
chahkar bhi main usko bhul paya nahi,
chahta to tha main usko apnana,
per maine usko kabhi ye bataya nahi...

kisi ko palkon par na bithaao,
wahaan to sirf sapne baste hain,
bithaao to dil mein bithaao kyonki yahaan sirf apne
baste hain...

apni yaadon me hum tumhe basana chahte hai,
apne paas tumhe hum bulana chahte hai,
thak gaye hum tumhe yaad karte karte,
ab hum tumhe yaad aana chahte Hai

kabhi-kabhi aesa bhi hota hai,
pyar ka asar jara der se hota hai,
aapko lagta hai hum kuch nahi sochte aapke baare me,
par hamari har baat me aapka hi jikr hota hai.

shama-e-tamanna jawaan aaj bhi hai
har hasrat lekin bezuban aaj bhi hai
manzilon ko nahi naseeb mere kaafile to kya
rahon pe mere kadmon ke nishaan aaj bhi hain

yeh milna aur bicharr jaana
kab apne bas ki baat hai
kismat hi milati hai hum ko
kismat hi juddai deti hai
har baar yeh hi hota hai
koi hume bataye to sahi
jo tum se nahi keh paate hai
dharkan se sunayi deti hai.

na raasta sujhayi deta hai
na manzil dikhayi deti hai
na lafz zubaan per aate hai
na dharkan sunayi deti hai
ek ajeeb si kaifiyat neaan ghera hai mujhe
Ke har surat main
teri surat dikhayi deti hai

jab yaad aati hai tumhari muskura lete hai,
kuch palo ke liye har gam bhula dete hai,
kaise bhig sakti hai aapki palken,
aapke hisse ke aansu to hum baha lete hain.

muskan tere hotho pe ho to khushi mere dil me hoti hai,
agar dard tere dil ko ho to akhein meri roti hai,
aap mehsus karke dekho pyar aisa hi hota hai..

vaade bhi usne kya khoob nibhaye hai,
zakhm muft aur dard tohfe me bhijwaye hai.
is se badhkar wafadari ki misaal kya hogi
maut se pehle vo kafan le aaye hai.

dete ho kyu ye dard bas humi ko
kya samjoge tum in ankho k nami ko
yu to honge lakhon diwane is chand ke
chand kya mehsus karega ek tare k kami ko

har ek se baat karna FITRAT hai apki
har ek khush rahe HASRAT hai apki
koi apko YAAD kare ya na kare
hume chod kar sabko yaad karna aadat hai apki

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home