Poetry

Kya Bataye Kaise Likhte Hain Hum, Bus Yun Samjho Ke Jo Shabd Dil May Aate Hai Wohi Kehte Hai Hum, Milti Hai Jab Fir Aap Jaise Doston Se Wah Wah, Tab Pata Chalta Hai Arey Ye To Shayari Likhte Hai Hum ~ Ahmed Kazimi

Tuesday, February 27, 2007

Mohabbat Surat Se Nahi Hoti

Mohabbat Surat Se Nahi Hoti,
Mohabbat To Dil Se Hoti Hai,
Surat Unki Khud Achi Lagne Lagti Hai,
Qadar Jinki Dil Se Hoti Hai

Wednesday, February 14, 2007

Hak Hai

Har nazar ko ek nigaah ka hak hai,
Har rooh ko ek aah ka hak hai,
Hum bhi dil lekar aaye hai is duniya mein,
Hamein bhi ek gunaah ka hak hai

Nahi Karta

main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta
chahata hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta
chahata hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta
tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta
jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
tere liye khuda se taqraar nahi karta
par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta

Tuesday, February 13, 2007

Na Rahay

Muhabat karo tu itni karo k koi had na rahay,
Intezar karo tu itna karo k koi waqt na rahay,
Bharoosa karo tu itna karo k koi shak na rahay,
Nafrat karo tu itni karo k phir muhabat na rahay

Sunday, February 11, 2007

Hota Hai

Har koi pyar k liye rota hai,
Har koi pyar k liye tadapta hai,
Pyar ko galat mat samajhna,
Pyar to dosti mein bhi hota hai

Ho Tum

Chand ki aan ho tum,
Sitaro ki shaan ho tum,
Phulon ka armaan ho tum,
Kudrat ki pehchaan ho tum,
Par in sabse pehle mere dost meri jaan ho tum

Aap Khush Rahe

Chand taro ka noor aap per barse
Har koi aap ke chahat ko tarse
Aap ke zindagi main aaye itni khushiya ki
Aap ek gum pane ko tarse

Tuesday, February 06, 2007

Chahte Hai

Ibadat hum jinki karte hai,
Ijaazat unhi ki chate hai,
Woh khafa ho humse kitna bhi,
Hum fir bhi unhi ko chahte hai