Poetry

Kya Bataye Kaise Likhte Hain Hum, Bus Yun Samjho Ke Jo Shabd Dil May Aate Hai Wohi Kehte Hai Hum, Milti Hai Jab Fir Aap Jaise Doston Se Wah Wah, Tab Pata Chalta Hai Arey Ye To Shayari Likhte Hai Hum ~ Ahmed Kazimi

Monday, December 25, 2006

Aapka Ho

Aankhein Khuli Ho To Chehra Aapka Ho,
Aankhein Bandh Ho To Sapna Aapka Ho,
Humay Maut Ka Naa Darr Naa Khauff Hoga,
Agar Kafan Ki Jagah Dupatta Aapka Ho

Khuda Ka Ghar

Maut meri manzil hai
Zindagi safar hai
Toote na dil kisi ka
Har dil khuda ka ghar hai

Monday, December 18, 2006

Zindagi Hai

Phool bankar muskurana zindagi hai,
Muskurake gum bhulana zindagi hai,
Milkar log khush hote hai to kya hua,
Bina mile dosti nibhana bhi zindagi hai

Ke Liye

Dosti gazal hai gane ke liye,
Dosti nagma hai sunane ke liye,
Ye wo jazba hai jo sabko nahi milta,
Kyonki aap jaisa chahiye nibhane ke liye

Saturday, December 16, 2006

Honge

Yaadon main kabhi aap bhi khoye honge,
Khuli aankho se kabhi aap bhi soye honge,
Maana hasna hai aadat ghum chupaane ki,
Par haste haste kabhi aap bhi roye honge

Friday, December 15, 2006

Hai Hamari

Nigaahein aapki pehchaan hai hamari,
Muskurahat aapki shaan hai hamari,
Rakhna hifajat tum apni,
Kyonki saanse aapki jaan hai hamari

Wednesday, December 13, 2006

Shayari from movie "Jaan-e-Mann"

Mohabato mein jinewale khush nasib hai,
Mohabato mein marnewale bhi ajib hai,
Ajib hai humari daastan Jaane-e-Mann,
Fasalo par rehate hai lekin karib hai

Tuesday, December 12, 2006

Yaad

Yaad karte hain yaron ko,
Yadon se dil bhar ata hai,
Kabhi saath jiya karte the,
Aaj milne ko dil taras jaata hai

Friday, December 08, 2006

Sakta Hoon

Bina dekhe teri tasweer bana sakta hoon,
Bina mile tera haal bata sakta hoon,
Meri mohabbat main itni takhat hai,
Ke apne ankh ke aansoo,
Tere ankh se gira sakta hoon

Aasan Nahin

Mohabbat sabhi kar lete hain
Dilbar ke dil mein dhadakna aasan nahin

Vaade sabhi kar lete hain
Unhe Nibhana aasan nahin

Pyar mein dil sabhi jeet lete hain
Magar dil har ke jeetna aasan nahin

Zindagi mein to sabhi pyar kar lete hain
Pyaar mein ise qurban karna aasan nahin

Wednesday, December 06, 2006

Pasand

Bulbul ko phool pasand,
Phool ko khushbu pasand,
Teri Pasand khuda janay,
Mujhay bus tu pasand

Monday, December 04, 2006

Hote Hai

Mohabbat ke bhi kuch andaz hote hai,
Jaagti aankhon mein bhi kuch khwab hote hai,
Zaroori nahi ki gam mein aansu nikle,
Musqurati aankhon mein bhi sailaab hote hai

Jaate Hai

Badi aasani se dil lagaye jaate hai,
Par badi mushkil se vaade nibhaye jaate hai,
Le jaati hai mohabbat un rahon pe,
Jahan diye nahi dil jalaye jaate hai