Poetry

Kya Bataye Kaise Likhte Hain Hum, Bus Yun Samjho Ke Jo Shabd Dil May Aate Hai Wohi Kehte Hai Hum, Milti Hai Jab Fir Aap Jaise Doston Se Wah Wah, Tab Pata Chalta Hai Arey Ye To Shayari Likhte Hai Hum ~ Ahmed Kazimi

Saturday, October 28, 2006

Shairies from movie "Fanaa"

Bul karke bhi humse koi bhul hui ho to,
Bhul samjkar use bhula dena,
Lekin bhulana sirf Bhul ko,
Galti se bhi Hume na Bhulana

Phool hun Gulaab ka,
Chameli ka mat samjhna,
Aashiq hun aapka,
Apni Saheli ka mat samjhna

Be khudishi jindgi hum jiya nahi karte,
Jam dusro se chin kar hum piya nahi karte,
Unko mohobbat hai to aake Izhar kare,
Piche hum bhi kisi ka kiya nahi karte

Humse dur jao ge kaise,
Dilse hume bhulaoge kaise,
Hum to khushbu hai jo sanso me baste hai,
Khud ki sanso ko rok paonge kaise

Baithe hai hotho ko si kar,
Pachtayengi aap,
Ishq jag uthta hai akshar,
Aisi khamosi ke bad

Rone de tu aaj hamako tu aankhe sujane de
Baho me lele aur khud ko bheeg jane de
Hai jo seene me quaid dariya wo chut jayega
Hai itana dard ki tera daman bheeg jayega

Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde,
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde,
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde,
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde,
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde

Aag suraj main hoti hai,
Jalna dharti ko padta hai,
Mohabbat aankhen karti hain,
Tadapna dil ko padta hai

Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte,
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte

Ankhen to pyar me dil ki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai

Dard se aankhe char kar lenge,
Hum odti me imtiha de denge,
Teri dosti ke khatir Ae DOST,
Hum bhi dushman se pyar kar lenge

Insan ki khwaish ki koi imtiha nahi,
Do guz zamin chahi ye,
Do guz Kafan ke baad

Tumhari Khoobsurti ne Khuda se eik khata kara di,
Kahin khud se nazar na lag jaye,
Is liye tumhe Nazar nadi

Tere Dil Me Meri Sanso Ko PANAH Mil Jaye,
Tere Ishq Me Meri Ja FANAA Ho Jaye

1 Comments:

At 6/29/2008 9:01 AM , Anonymous Anonymous said...

waa waa

 

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home