Poetry

Kya Bataye Kaise Likhte Hain Hum, Bus Yun Samjho Ke Jo Shabd Dil May Aate Hai Wohi Kehte Hai Hum, Milti Hai Jab Fir Aap Jaise Doston Se Wah Wah, Tab Pata Chalta Hai Arey Ye To Shayari Likhte Hai Hum ~ Ahmed Kazimi

Thursday, September 21, 2006

Waqt

Jaante Ho Kabhi Insan Ke Sath Aisa Bhi Hota Hai
Jaise Khare Paani Main Koyi Pathar Phainkta Hai
To Us Main Lehron Ka Ek Darya Banta Hai
Aur Jaise Jaise Waqt Guzarta Hai Wo Darya
Bara Hota Jata Hai Aur Aakhir Ek Waqt Aata Hai
Ke Wo Sahil Par Khatam Ho Jata Hai
Jaante Ho Wo Khara Paani Kiya Hai
Wo Dunya Hai Aur Insan Wo Pathar Hai Jo
Is Dunya Main Doob Jaata Hai Aur Jante Ho
Wo Lehrein Kiya Hain Wo Lehrein
Waqt Hai Jo Kisi Ke Liye Nahin Rukta
Wo Chalta Rehta Hai Aur Baar Baar Insan
Ko Awaz Deta Hai Lekin Insan Waqt
Se Gafil Ho Kar Us Par Gor Nahin Karta
Magar Waqt Awaz Deta Hi Rehta Hai Aur Ek Waqt
Aata Hai Ke Waqt Ke Paas Waqt Ke Liye
Waqt Khatam Ho Jaata Hai Tub Insan Ko Pata
Chalta Hai Ke Waqt To Usay Peeche Chor Gaya
Magar Meri Nazar Main Kamyab Insan Wo Hai
Jo Waqt Se Bhi 2 Pal Aage Chale

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home