Poetry

Kya Bataye Kaise Likhte Hain Hum, Bus Yun Samjho Ke Jo Shabd Dil May Aate Hai Wohi Kehte Hai Hum, Milti Hai Jab Fir Aap Jaise Doston Se Wah Wah, Tab Pata Chalta Hai Arey Ye To Shayari Likhte Hai Hum ~ Ahmed Kazimi

Friday, September 22, 2006

Poetry

Yeh duniya waale bhi bade ajeeb hai
kabhi hamse door to kabhi kareeb hai
dard na bataye to hume kaayar kehte hai
aur dard bata de to shayar kehte hai

Har taraf khamoshi ka saaya hai
zindagi mein pyar kisne paaya hai,
hum to aapki yaadon mein jhoomte hai
aur zamana kehta hai dekho aaj phir peekar aaya hai.

Jab jab aapse milne ki umeed nazar aayi
mere pairon mein zanjeer nazar aayi
gir pade aansu aankhon se
aur har aansu mein aapki tasweer nazar aayi

Woh yaad aayi bhulate bhulate
dil ke zaqm ubhar aaye chupate chupate
sikaya tha jisne muskurana
usine rulaya hame haste haste

Kabhi khamoshi bhi bohot kuch keh jaati hai
tadapne ke liye sirf yaadein reh jaati hai
kya farq padta hai dil ho ya koyla
jalne ke baad to sirf raakh reh jaati hai

Tum bohot khoobsurat ho
tumse bhi khoobsurat hai andaaz tumhara
log kehte hai chand ka tukda ho tum
hum kehta hai chand tukda hai tumhara.

Ab to itni bhi maysar nahi maikhaane mein
jitni hum chhod diya karte the paimaane mein
maana ke tu aaj hamare saath nahi
lekin shama-e-mohabbat aaj bhi jal rahi hai iss dil mein

0 Comments:

Post a Comment

Subscribe to Post Comments [Atom]

<< Home